Total Pageviews

Wednesday, August 14, 2013


Bajrang Bali Bhajan

Jaykar aaj bajrangi ka , jo sachcha prem lagata  - 2

Wah bhav sagar ki dhara se anayaas paar ho jata hai – 2

 

Tum balapan ko yaad karo , suraj ko mukh main jab rakha – 2

Sab devon ne vardaan diya , hanuman naam usne rakha – 2

 

Jaykar aaj bajrangi ka , jo sachcha prem lagata hai – 2

Wah bhavsaagar ki dhara se anayaas paar ho jaata hai – 2

 

Tum Ramchandra ko paaye pawan , lanka sur aatur dhaye the – 2

Lanka sa koti jala kar ke sita ka darshan paaye the – 2

Jaykar aaj bajrangi ka jo sachcha prem lagata hai -2

Wah bhav sagar ki dhara se anayaas paar ho jata hai – 3

No comments:

Post a Comment